India me organised education ki shuruat Gurukul se hui, jahan shastra aur shaastra abhyaas hota tha.
Fir angrez aaye, aur itne logo wale desh par raaz karne ke liye aayi Babu banaane wali education. Angrez chale gaye, Babu banna jaari hai.
Bharat ka durbhaagya hai, ki aaj tak Ke samast vidvaan ek complete education ka practical model nahin prastut kar paaye.
Ek education jisse Insan Ko ‘Insan Ke Saath Jeena Aa Jaaye, Insan Ko Dharti Ke Saath Jeena Aa Jaaye.’ Aisi education ab sambhav hai, aisa model ab available hai.